User Agreement

TABII hatmi sarif ka liscense ka moahida

Note: barah e karam download, installation, copy ya istamaal karny sy pehlay neechay di gai services ki sharait o zawabit o ghaur sy parhain. Download karny, install karny, copy karny ya istamal karny ky zariye, aap in sharait o zawabit par apni razamandi ka izhaar kar rahy hain.

Ye service sirf services ki licensing ka ahaata karti hay, na ky farokht ka. İs service kay liye aap ka licsence is hatmi saarif kay liscense kay moahiday (End User License Agreement, “EULA”) aur/ya “moahiday” ki aapki paishgi manzoori sy mashroot hay. Service ko install, download, copy ya istamal karty waqt “register/kadol” par click kar ky, aap is moahiday ki sharait o zawabit sy itefaq karty hain. Agar aap is moahiday ki tamaam sharait o zawabit sy itefaq nahi karty, to fori tor par installation ya download, ya service ka istamal mansookh kar dain. EULA kay tehet Tabii services ky hawalay sy aap ka liscense Turkish radio television corporation (Turkish Radio Television Corporation, TRT), ("TABII") Tabii Limited aur mulhiqa idaaro’n – TRT ky zair e milqiyat aur/ya control main mojood tamaam companiyo’n ko tafweez kiya jata hay. Is service ko yahan “service aur/ya services” kaha jata hay. TRT (TABII aur TRT ky zair e milqiyat aur/ya zair e control tamaam TRT companiya’n) (“liscense dahinda”) in services main aur in ky tamaam huqooq mehfooz rakhti hain jo is moahiday ky tehet aap ko wazeh tor par nahi diye gae hain.

1)      Hatmi sarif ky huqooq ka istamal: Tabii service ka rukan ban’nay ky liye aap ki umar km az km 18 (athaara) saal honi chahiye. Aap ko zaati tor par hatmi sarfi ky huqooq aur services ka istamal karna chahiye. Aap services ko sirf zaati tor par istamal karny ky haqdaar hain, tijarti tor par nahi. Khidmaat aur/ya services ky zariye rasaai kiya jany wala koi bhi mawaad sirf aap ky zaati aur ghair tijarti istamal ky liye hay aur isay afraad ky sath share nahi kiya ja sakta. Ma’siwaye mazkoora baala ky, koi haq, unwaan, ya mafaad aap ko muntaqil nahi kiya jae ga. Aap awaami kaarkardagiyon ky liye service istamal na karny sy itefaq karty hain. Service ko istamal karny ka haq sirf hatmi sarif ky paas hoga. Services ko istamal karny ka hawaala dainy ky liye aik hatmi sarif liya jae ga. Aik hi liscense ko aik hi waqt main aik sy ziada afraad aik sy ziada devices par istamal kar sakty hain jisy aap ba’yak waqt daikh sakty hain or ye aap ky muntakhib kardah subscription plan par munhasir hay. Kisi bhi surat main, aap apnay account ky zariye hony wali kisi bhi sargarmi ky zimehdaar hoty hain. Dusro’n ko account tak rasaai ki ijaazat dy kar (jis main account ki sargarmi daikhny sy mut’aliq maloomaat tak rasaai shamil hay), aap is baat sy itefaq karty hain ky aisay afraad aap ki taraf sy kaam kar rahy hain aur ye ky aap kisi aisi tabdeeli kay paaband hain jo wo account main kar sakty hain, jin main bilatehdeed subscription plan main tabdeeliyaan shamil hain. Account par control barqraar rakhny aur kisi bhi ghair majaaz sarifeen ko account tak rasaai sy roknay main madad dainy ky liye, aap ko in devices par control barqraar rakhna chahiye jo service tak rasaai ky liye istamal hoti hain aur password ya account ki tafsilaat zahir nahi krni chahiy’en. Aap apny account sy muta’liq darust maloomat faraham karny aur barqaraar rakhny par itefaq karty hain, bashamool aik darust email address ky, ta k ham apko account sy muta’liq notices bhaij sakain. Liscense dahinda aap ka account khatam kar sakta hay ya aap ky account ko hold par rakh sakta hay ta k aap ko, liscense dahinda ko ya hamary mulhiqa idaaro’n ko shanaakht ki chori ya dhoka dahi par mabni digar kisi sargarmi sy bachaya ja sakay. Aap bunyaadi tor is mulk ky andar khidmaat tak rasaai haasil kar sakty hain jahan aap ny apna account takhleeq kiya hay aur sirf un jughrafiyai maqamaat par jahan ham apni service paish karty hain aur is tarha ky mawaad ko liscense yaafta rakhty hain. Jo khidmaat dastiyab ho sakti hain wo jughrafiyai maqam ky lehaz sy mukhtakif hongi aur waqtan fawaqtan tabdeel hoti rahain gi.

2)      Liscense: liscense dahinda aap ko aapki Tabii subscription ky doran website, mobile apps, smart TV apps, Roku aur inhi ky jaisay par khidmaat ky istamal ky liye aap ko ghair muntaqil pazeer liscense tafweez karta hay. Is muahiday ki sharait services sy qabil e rasaai is ky andar khareeday gae kisi bhi mashmoola, amwaad, ya khidmaat, neez liscense kaar aur/ya is ky mulhiqeen ki janib sy faraham karda aisay upgrades ka nazam karain gi ky jo khidmaat ka mutabadil ho’n ya isay mazeed eyaanat faraham karain. Aap khidmaat ko kisi aisay network par taqseem, record ya dastiyab nahi kar sakty, jahan isay aik hi waqt main muta’adid devices istamal kar sakain. Aap liscense yafta khidmaat ko muntaqil, dobara taqseem ya zaili liscense nahi dy sakty aur, kisi bhi surat main agar aap kisi application ky zariye services istamal kar rahy hain, to aap ko kisi fareeq e salis ky hath apni device farokht karny sy qabl lazmi tor application ko hatana aur services sy muta’liq tamaam maloomat ko hazaf karna ya khatam karna hoga (jis main bilatehdeed sarif ka naam, password, zaati maloomat, account ki maloomat waghaira shamil hain). Aap copy (ma’siwaye is liscense ky zariye ijazat yafta hony hony ky), reverse engineer, juda, khidmaat, kisi bhi updates, ya is ky kisi bhi hissay ky source code ko akhaz karnay, is main tarmeem karnay ya akhaz shuda kaam takhleeq karnay ki koshish nahi kar saktay, (mas/siwaye is ky k aur sirf is hadd tak ky koi bhi paishgi pabandi qabil e itlaaq qanoon ky zariye mamnoo ho ya is hadd tak jiski liscensing sharait ky zariye ijazat di ja sakti hay jo khidmaat ky sath shamil kisi bhi open source ajza’a ky istamal ko control karti hay). Jab tak ky liscense dahinda ki taraf sy wazeh tor par ijazat na ho, a) aap archive, dobara takhleeq, taqseem, tarmeem, display, process, shae’ya, liscense, akhaz shuda kaam takhleeq nahi karain gy, farokht ky liye paish nahi karain gy ya services par mehfooz karda ya is ky zariye hasil karda mawaad ya maloomat ko istamal nahi karain gy; b) kisi bhi mawaad ky tahafzaat ya khidmaat ky digar anaasir bashamool graphical user interface, copyright notices, aur trademarks ko roknay, hatany, in main tarmeem karnay, ghair fa’aal karnay, downgrade karnay, block karnay, ghair wazeh karnay ka amal anjaam nahi den gy; c) aap services tak rasaai hasil karnay ky liye koi robot, spider, scraper ya digar khudkaar zaraey istamal nahi karain gy; d) services sy wabasta koi bhi computer software ya hardware ya telecommunication ky aalaat ki fa’aliyat ko roknay, nuqsan pohanchaany ya mehdood karnay ky liye design kiya gaya koi mawaad, bashamool koi software virus ya koi dusra computer code, files ya program upload nahi karain gy, aap itefaq kartay hain ky aap bazariya email ya kisi dusri surat main nahi bhaijain gy na hi muntaqil karain gy. Khidmaat aur tamaam huqooq, bashamool laikin bilatehdeed danishwarana imlaak ky huqooq, liscense dahinda aur is sy mulhiqa idaaro’n ki milkiyat hain. Wo bain ul aqwami muahiday ki dafa’at aur is mulk ky digar tamaam qabil e itlaq qaomi qawaneen ky zariye mehfooz hain jis main khidmaat istamal ki ja rahi hain. Khidmaat ka dhancha, tanzeem, aur code liscense dahinda aur is sy mulhiqa idaaro’n ky qeemti tijarti raaz aur khufiya maloomat hain. Aap ko service ki copy nahi karni chahiye. Koi bhi copies jo aap ko is muahiday ky mutabiq banany ki ijazat hay un main wohi copyright aur digar milkiyati notices hony chahiy’en jo service par zahir hoty hain. Is muahiday main aap ko wazeh tor par na diye gae tamaam huqooq liscense dahinda ya in k muta’liqa huqooq ky hamileen ky huqooq hain.

3)      Bairooni khidmaat: liscense yafta khidmaat liscense dahinda aur/ya fareeq e salis ki khidmaat aur websites (ijtemai aur infaradi tor par, “bairooni khidmaat”) tak rasaai ko fa’aal kar sakti hain. Aap bairooni khidmaat ko sirf apny risk par istamal karny sy itefaq karty hain. Liscense dahinda kisi bhi fareeq e salis ki bairooni khidmaat ky mawaad ya darustagi ki jaanch karnay ya jaiza lainy ka zimeydar nahi hay, na hi wo fareeq e salis ki aisi kisi bhi bairooni khidmaat ky liye zimeydar hoga. Kisi bhi liscense yafta application ya bairooni khidmaat ky zariye dikhaya jany wala data, bashamool laikin bilatehdeed maali, tibi aur maqam ki maloomat, sirf aam maloomati maqasid ky liye hain aur liscense dahinda ya is ky agents ky zariye is ki zamanat nahi di gai hay. Aap bairooni khidmaat ko kisi aisy tareekay sy istamal nahi karain gy jo is muahidy ki sharait sy mutasadim ho ya jis sy liscense dahinda ya kisi fareeq e salis ky danishwarana imlaak ky huqooq ki khilafwarzi ho. Aap kisi bhi shakhs ya kisi idaray ko hirasa’n karnay, badsulooki, nishana banany, daranay dhamkany ya badnaam karny ky liye bairooni khidmaat ka istamal na krnay sy itefaq karty hain, aur ye ky liscense dahinda aisy kisi bhi istamal ky liye zimeydar nahi hay. Ho sakta hay ky bairooni khidmaat tamaam zubano’n main ya aap ky aabai mulk main dastiyab na hon, aur kisi khas jagah par istamal ky liye mozoo’n ya dastiyab na hon. Jis hadd tak aap aisi bairooni khidmaat ko istamal karny ka intkhab karty hain, aap kisi bhi qabil e itlaq qawaneen ki ta’ameel ky liye mukammal tor par zimeydar hoty hain. Liscense dahinda aap ko notice ya zimeydari ky baghair kisi bhi waqt bairooni khidmaat tak rasaai ki pabandiyon ya hudood ko tabdeel karnay, moat’tal karnay, hatany, ghair fa’aal karnay ya naafiz karnay ka haq mehfooz rakhta hay.      

 

4)      Koi warranty nahi: aap wazeh tor par tasleem kartay hain aur itefaq kartay hain ky liscense yafta khidmaat ka istamal aap ky apny risk par hay. Qabil e itlaq qanoon ky zariye ziada sy ziada majaaz hadd tak, liscense yafta khidmaat aur liscense yafta application ky zariye anjaam di gai ya faraham ki jany wali koi bhi khidmaat “jaisi hain” aur “jaisay dastiyab hain” tamaam nuqais ky sath aur kisi bhi qism ki warranty ky bagher faraham ki jati hain, aur liscence dahinda is tarha ki tamaam warrantiyo’n aur sharait sy lata’luqi ka izhar karta hay jo ky liscense yafta khidmaat or kisi bhi services ky hawaaly sy hon, khwah sareeh hon, muzmir hon, ya qanooni hon, jin main bilatehdeed muzmir waranties aur/ya tijarat ki sharait, itmenan bakhsh maiyaar, kisi khas maqsad ky liye mozooniyat, drustagi, pursukoon lutf andoozi, aur fareeq e salis ky huqooq ki adam khlaf warzi shamil hain. Liscense dahinda ya is ky majaaz numaenday ki taraf sy di gai kisi bhi zubani ya tehreeri maloomat ya mashwaray sy warranty takhleeq nahi hogi. Agar liscense yafta application ya khidmaat naqis sabit hoti hain, to aap tamaam zaroori servicing, murammat, ya drustagi ki poori lagat qubool karty hain. Kuch daeyra ikhtiyar kisi sarif ky qabil e itlaq qanooni huqooq par muzmir warrantiyo’n ya hudood ky ikhraaj ki ijazat nahi daity, is liye mazkoorah baala ikhraaj aur hudood aap par laagu nahi ho sakti’n. Ye muahida liscense dahinda aur is sy mulhiqa idaaro’n ki taraf sy koi zimeydariyan takhleeq nahi karta ma’siwaye is k ky yahan khas tor par bayan kiya gaya hay.

 

5)      Zimeydari ki hadd: qanoon ki taraf sy ghair mamno’o hadd tak, kisi bhi surat main liscense dahinda zaati chot ya kisi bhi hadsati, khusoosi, bilwasta, ya natija khaiz nuqsanat ky liye zimeydar nahi hoga, bashamool, taham baghair kisi hadd ky, munafa’a sy mehroom hony ky nuqsanat, data ka nuqsan, karobari rukawat, ya koi dusray tijarti nuqsanat ya ghaata, jo aap ki liscense yafta application ky istamal ya istamal karnay main nakami sy paida huay ya is sy muta’liq hain, taham nazariya e zimeydari (muahida, harjana, ya dusri surat) sy qat’a nazar, paida huay, aur yahan tak ky agar liscense dahinda ko is tarha ky nuqsanat ky imkan ky baray main mashwara dia gaya ho. Kuch daeyra ikhtiyar zaati chot, ya hadsati ya natija khaiz nuqsanat ki zimeydari ki hadd ki ijazat nahi daitay. Lehaza ye hadd aap par laagu nahi ho sakti. Kisi bhi surat main aap par tamaam nuqsanat ky liye liscense dahinda ki kul zimeydari (ma’siwaye is k ky zaati chot waly muamlaat main qabil e itlaq qanoon ky zariye mumkina’h tor par darkar ho) barah e raast nuqsanat sy ziada nahi hogi.

 

6)      Aap liscense yafta khidmaat ko istamal ya dusri surat main baraamad ya dobra baraamad nahi kar sakty, ma’siwaye is k ky jamhooriya’h Turkey ky qawaneen ky zariye ijazat di gai ho. Khas tor par, laikin baghair kisi hadd ky, liscense yafta khidmaat (a) kisi bhi Turk pabandi waly mumalik main baraamad ya dobara baraamad nahi kiya ja sakta. Liscense yafta khidmaat ka istamal karty huay, aap zahir kartay hain aur zamanat daity hain ky aap aisay kisi mulk main ya aisi kisi fehrist main mijood nahi hain. Aap is baat sy bhi itefaq karty hain ky aap in masnoo’aat ko Turkey ky qawaneen ki taraf sy mamnoo maqasid ky liye istamal nahi karain gy, bashamool, taham baghair kisi pabandi ky, johri, mizail, ya kimiyai ya hayatyati hathiyaro’n ki tayari, design, masnoo’ah saazi ya paidawar main.

 

7)      Data ka istamal: aap is baat sy itefaq karty hain ky liscense dahinda cookies, takniki data aur muta’liqa maloomat ko ikatha aur istamal kar sakta hay — bashamool, laikin bilatehdeed aap ki device, system aur application software, aur mulhiqa aalaat ky baray main takniki maloomat ky — jo waqtan fawaqtan software updates, masnoo’ah ki mua’wnat aur aap ky liye khidmaat sy muta’liqa dusri services (agar koi hon to un) ki farahmi ko asan banany ky liye jama ki jati hain. Liscense dahinda, apni masnoo’aat ko behtar banany ya aap ko khidmaat ya technologies faraham karny ky liye in maloomat ka istamal kar skta hay, jab tak ky ye kisi aisi shakal main hon jo aap ki zaati tor par shanakht na karti ho.

 

8)      Liscense yafta khidmaat aur muta’liqa dastawezat “commercial items” hain, kyunky is istilah ki wazahat bain ul aqwami qanoon ky tehet ki gai hay aur (b) sirf un huqooq ky sath jo yahan bayan kardah sharait o zawabit ky mutabiq digar tamaam hatmi sarifeen ko diye gae hain. Jamhooriyah Turkey ky copyright qawaneen ky tehet ghair matbu’ah huqooq mehfooz hain.

 

9)      Amoomi sharait: agar is muahiday ki koi shiqqai’n ghalat ya naqabil e nifaz hain, to is sy moahiday ki digar dafa’at ki mozooniyat mutasir nahi hogi, jo is main di gai sharait ky mutabik darust aur qabil e nifaz rahain gi. Ye service sy muta’liq liscense dahinda aur aap ky darmiyan mukamal muahida hay aur ye service sy muta’liq kisi bhi paishgi numaendgi, baat cheet, kamo’n, mawaslato’n ya ishtaharaat ki jagah lay leta hay.

 

10)     Notices: tamaam notices ko …………. Tak pohanchana zaroori hay.

 

11)     Mandarjah zail paragraph main wazeh tor par faraham kardah hadd ky ilawa, is muahiday aur aap aur TRT aur TABII ky darmiyan ta’luq par jamhooriyah Turkey ky qawaneen ky tehet amal kaari ki jae gi, jabky is ky qanoon ki daf’aat ky tanazaat ko chorr dia jae ga. Aap or TRT aur TABII is muahiday sy paida hony waly kisi bhi tanazay ya daway ko hal karnay ky liye jamhooriyah Turkey ki adalato’n aur amal daraamad ky dafatir ky zaati aur khusoosi daeyrah ikhtiyar main jama karanay par itefaq karty hain.

        

12)     Kaladmi: ye moahida us waqt tak moassar hay jab tak ky aap ya liscense dahinda ki janib sy isy kaladam qarar nahi dia jata. İs moahiday ky tehet aap ky huqooq is surat main khud bakhud khatam ho jaen gay ky agar aap is ki sharait main sy kisi ki ta’ameel karny main nakaam rehtay hain. Aisay halat main liscense dahinda ky liye dastiyab kisi bhi istehqaq ya qanooni hal sy ta’sub kiye baghair liscense dahinda is muahiday sy dastbardaar hony ka haqdaar hoga. Liscense ki mansookhi ki surat main, aapko fori tor par apny kharch par services ko hazaf kr daina ya hata daina chahiye. Liscense ky khatmay ky baad, liscense dahinda ko khidmaat ky af’aal ko istimal karny ky liye hatmi sarif ky istehqaq ko mansookh karny ka bhi haq hasil hoga.

 

13)     Liscense dahinda musalsal tabdeeliyan kar raha hay aur service ko behtar bana raha hay. İs musalsal behtari ky hissay ky tor par, liscense dahinda tabdeeliyan kar sakta hay (jo service ky tamam ya kisi hissay par laagu hon gi), jaisay khusoosiyat aur fa’aliyat ko shamil karna ya hatana, naye digital mawaad ya khidmaat ko muta’arif karana, ya purany ko band karna. Liscense dahinda ko karkardagi ya security main behtari lany, qanoon ki ta’meel kay liye tabdeeliya’n karnay, ya hamary systems ki ghair qanooni sargarmi ya ghalat istamal ko rokny ky liye service ya is ky kisi bhi hissay main tarmeem karny ya isay band karny ki zaroorat parr sakti hay. Ye tabdeeliya’n tamam sarifeen, kuch sarifeen, ya yahan tak ky aik sarif ko mutasir kar sakti hain. Mojooda muahiday main koi bhi tarameem, tabdeeliya’n ya tajdedaat mukamal tor par liscense dahinda ya is sy mulhiqa idaaro’n ki mukamal sawabdeed ky zariye khidmaat ky maiyaar ko behtar banany ya khidmaat ya liscense dahinda sy muta’liq kisi bhi dusri zaroorat ky zariye qaim ki ja sakti hay. Is tarha ki tabdeeliyan aap par laagu hony sy km az km 30 din pehlay liscense dahinda aap ko mutta’la karay ga. Agar aap tabdeeliyo’n ko qubool nahi karna chahtay, to aap apni rukniyat mansookh kar saktay hain aur/ya apni darkhast ko in ky nafiz honay sy pehlay hata saktay hain.